12861stm
August 7th, 2008, 05:20 PM
'Yeh yaadgaar naheen, yeh zahaan hai meyraa!
Yahee makaan, yahee aasmaan hai meyraa!!
Yoon hiqaarat sey, isey deikh na, zulmee zaahid!
Yeh maykadah halaal hai: yeemaan hai meyraa!!
Yeh to, baazee hai: magar, jeetnaa zarooree hai!
Woh taalibaan hain: magar imtihaan hai meyraa!!
Haath-peiroun mein, jayeefee hai kaargar; fir bhi,
Dil-o-dimaag, abhi bhi jawaan hai meyraa!'
Us kee chaahat hai: meyrey dil mein, kuchh malaal naheen!
Magar, raqeeb barhaa bey-yeemaan hai meyraa!!
Mein to kahtaa hoon,'abd', aayiyey galey mil lain!
Tukhm-e-aadam hoon: yahee khaandaan hai meyraa!!